Sunday, January 17, 2010

Aankh se Lahhu na Bahaya kar

Aankh se Lahhu na Bahaya kar,

Ae Dil usey kabhi to Bhool jaya kar.

Dekhna woh aik Din tujhe chor jaye ga,

Na usey itna Sataya kar.

Itna Aitbaar bhi Acha nahi hota,

Usey har aik Baat na bataya kar.

Shiddat-e-Gham se Seena phat jaye ga,

Aankh se kuch Aansoo Bahaya kar.

Us jaisa tujhe kaheen mil nahi sakta,

Hazaar baar Roothe Hazaar baar Mannaya kar.

Yahan baad Muddat koi Sukh milta hai,

Hath aai Khushi yun na Ganwaya kar.

No comments:

Post a Comment