Sunday, January 24, 2010

Tum bhi suno Tum shayed samajhti ho Keh

Tum bhi suno Tum shayed samajhti ho Keh
tumharay lafz main siraf parhta hoon
Tumhari awaz siraf sunta hoon
Tumharay naqoosh siraf dekhta hoon Aour tumhara
wajood siraf choota hoon Ghalat bilkul ghalat
Tumhain kia patta Keh tumharay lafzon ki cheekh .
Tumhari aawaz ka karb.
Tumharay naqoosh ki pukaar Aour.
tumharay lums ki rooh Meri zaat ki mawaraai tehon
ki Kitni gehri parton main utar ke Tumhian meray
andar kiss kiss tarah
Amar kar detay hain....

No comments:

Post a Comment