Sunday, January 17, 2010

dedicated to those 5000 karachi shopkeepers

Jala daali zaalimo ne meri dukan,
Es se to acha tha jala dete mujh samait mera makaan.

Ab kahan se kama k khilaounga apne gharane ko,
Jab ghar main hi nahi hoga raashan o samaan.

Mera qasoor kya tha aey zalim jalane wale,
Na main hamla awar tha na wo mera mehman.

Meri zindagi bhar ki kamaai aik pal main jal gai,
Aur tum kehte ho sabar kr.. na ho halkaan?

(Dedicated to those 5000 karachi shopkeepers whose shops burned out last nite...

No comments:

Post a Comment