Friday, January 22, 2010

Milnay ka jhoota iqrar kartay hain

Milnay ka jhoota iqrar kartay hain
Chahnay ka galat iqrar kartay hain

Raah tak tak ke thak gayae naina
Vadon ka jhoota bevpaar kartay hain

Abhi aayaingay aur abhi milaingay
Mun ko yuhin beqarar kartay hain

Raah!bhi aaj hui hy khamosh
Milnay ka jhoota izhar kartay hain

No comments:

Post a Comment