Friday, January 22, 2010

Sab khaloos baatoun mein sab karam khayalon mein

Sab khaloos baatoun mein sab karam khayalon mein,
Bas zara wafa kam thi terey shaher waloun mein..

Pehli baar nazroun ney chaand boltey dekha,
Hum jawab kya daitey kho gaye sawaloun mein..

Raat teri yaadoun ney dil ko iss tarah chera,
Jaisey koi chutki ley naram naram gaaloun mein..

Youn kisi ki aankhoun mein subha tuk they hum,
Jis tarha rahey shabnam phool k piyaloun mein..

Meri aankh k taarey abb na deikh pa'o gay,
Hum raat k musafir they kho gaye ujaaloun mein..

No comments:

Post a Comment