Meri zindagi mein bus ik kitaab hai
Ik khawab hai or tum ho
Yeh jo kitaab-o-khawab k darmiyan manzilein hain
Mein chahti hun tumhare sath basar kerun
Yehi kul asasa-e-zindagi
Isi ko zaad-e-safar kerun
Mere dil k jaada-e-khush khabar pe
Bajuz tumhare
Kabhi kisi ka guzer na ho
Magar is tarah k
Tumhein bhi is ki khabar na ho...!!!
Sunday, January 24, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment